Saturday 3 December 2011

बुद्धिमान बंजारा

Ek bar ek banjara met
(multani mitti) bailon
par ladkar delhi men
bechne ke liye le ja raha
tha.wo ganw se hokar
ja raha tha.uski bahut
sari met ganw men hi
bik gayi.bailon par lade
boro ka santulan
banaye rakhne ke liye
usne apne naukron se
boron me ek taraf baloo
(silt) bharne ke lie kaha.
Naukron ne un boron
men ek taraf baloo bhar
dia(wo log rajsthan se
hokar gujar rahe the
jisse wahan baloo bahut
tha) jisse unka
shantulan ho gaya.udhar
se ek sajjan gujar rahe
the unhone jab boron se
baloo girte dekha to
naukron se bole ki ap
muft men in bechare
bailon ko kyon mar
rahe,ap is met ke boron
ko ek men bandh
dijiye.naukron me kaha
ki ap thik kah rahe lekin
hm apne malik ka adesh
ka palan karte isliye ap
unse kahiye.wo sajjan
banjare ke pas gaye aur
usse wahi bat
kahi.banjare ne un
sajjan se puchha ki ap
kahan ja rahe aur kahan
rahte.sajjan ne kaha
"ham paise kamane ke
lie delhi men aye the
lekin hm bimar ho gaye
aur sare paise kharch ho
gaye isliye hm apne
ghar durjanpur wapas ja
rahe."
banjare ne uski bat ni
mani(kyonki wo khud
apni progress nahi kar
paya tha aur dusre ko
advice de raha tha) aur
aise hi naukron ko
chalne ko kaha.delhi
pahunchkar usne bailon
ko ghas charne ke liye
jungle men bhej dia.us
banjare ki met khub
biki.delhi ke badshah us
samay bimar the aur
doctor ne unhen
rajasthan men rahne ke
kie kaha jisse unki
bimari dur ho sake
kyonki baloo par rahna
unke bimari ka ilaj tha
lekin wo rajsthan men
kaise rah sakte
the .isliye ek upay socha
gaya ki uahan ki baloo
yahan le aya jaye.isliye
kuchh naukar baloo lane
ke liye bheje gaye unhon
delhi men hi yahan ki
baloo dekhi isliye unhone
banjare se use kharidne
ke liye uski kimat
puchi.banjare ne kaha ki
jo met ki kimat hai wahi
iski hai kyonki ye uske
ek taraf ladkar aya
tha.is tarah uska baloo
bhi bik gaya agar wo
sajjan ki bat man leta
to usko ghata lgta.
Isliye hame apni bat hi
sunni chahiye aur jo
hamse bade log
(mahapurush)hain unki
bat manni chahiye jisse
ham progress kar
sake.....

No comments:

Post a Comment

Thanks